Trader Joe $20M tak ke Incentives Program ke sath Avalanche Rush mein enter kar raha hai.

Avalanche India
3 min readSep 30, 2021

Avalanche par sabse bada native DEX program mein shamil ho raha hai, ‘Joe Rush’ yahan hai!

Trader Joe ne officially Avalanche Rush Program join kar lia hai, incentive programs mein combine total $20M tak. Program mein Avalanche Foundation se $AVAX mein $10m aur Trader Joe se JOE mein ek aur $10m include honge.

Trader Joe pure DeFi mein best decentralized exchange experiences offer karne ke liye uniquely positioned hai. July 3 ko launch hone ke baad se, Trader Joe total value locked (TVL) aur trading volume ke adhar par Avalanche ke sabse bade DeFi applications mein se ek ban chuka hai.

Native Avalanche market mein growth par focus karne ke sath ‘Joe Rush’ incentives pure platform par deploy kiya jayega. Yeh Trader Jo ke vision ko aur puri Avalanche community ko benefit karega.

“Hamara vision DeFi ke frontiers par Avalanche community ko serve karna hai. Ham Avalanche Rush mein contribute karne aur ecosystem ko naye uchaiyon par le jane ke liye excited hai.- 0xMurloc, Trader Joe ke co-founder.”

Program do phrases mein hoga jo AVAX aur JOE dono mein reward provide karega, har ek mein lag bhag teen mahino ka period hoga.

Program ke samay, users selected liquidity pools, lending markets ke sath- sath leveraged trading mein participate kar ke reward earn kar sakte hai, yeh feature Q4 release ke liye plan kiya gaya hai. ‘Cultivation Club’ ko bhi allocate kiya jayega jo Trader Joe platform se Avalanche par launch karne ke sath innovative protocols ko encourage karne ke liye liquidity incentives program karega.

Upar diye gaye allocation ke alawa, Trader Joe ek community bug-bounty program bhi launch karega jo incentive program ke sath milkar launch kiya jayega. Yeh bug bounty Trader Joe ke users base aur proxy dwara, Avalanche DeFi ecosystem ko sukarshit rakhne mein madad karega.

Joe Rush October ke mid mein shuru hoga, ek specific launch date ke sath jo chal rahi security audits ke pura hone ke baad communicate kiya jayega. Announcement se updated rehne ke liye, Trader Joe ko Twitter par follow karein.

Trader Joe ke bare mein

Trader Joe Avalanche blockchain ka native one-stop-shop decentralized trading platform hai. Trader Joe fast, secure hai aur iska aim DeFi ke frontier par community ko serve karna hai. Team ka long term vision Trader Joe ko naye DeFi primitives ke liye ek R&D-focused platform banana hai.

Avalanche Rush ke bare mein

Avalanche Rush ek incentive mining grant aur airdrop program hai jisme Avalanche Foundation se AVAX token mein $180M tak hain jo Avalanche platform par decentralized finance applications ko deploy karta hai. Program ka objective naye aur existing DeFi traders ko easy-to-use, fast, aur cost-effective applications ke sath empower karna hai.

Avalanche ke bare mein

Avalanche fastest smart contact platform hai bloackchain industry mein, jab measure kia jata hai time-to-finality dwara, aur yaha bohot sare validators hain jo secure karte hain activity kisi bhi proof-of-stake protocol ke. Avalanche blazingly fast hai, low cost, aur green hai. Koi bhi smart contract- enabled application outperform kar sakta hai agar voh deploy karega Avalanche par. Vishwas nahi? Try karein koi bhi app Avalanche par aaj hi.

Website | Whitepapers | Twitter | Discord | GitHub | Documentation | Forum | Avalanche-X | Telegram | Facebook | LinkedIn | Reddit | YouTube

--

--